Ek Sarkari Nai (Barber) ne baal kaat-te waqt Kapil Sibbal ji se poochha *”Sahab, yeh. Swiss Bank wala kya lafda hai ?”
Kapil Sibbal ji shouted – “Abey tu baal kaat raha hai ya inquiry kar raha hai ?
Nai ( Barber)- “Sorry saab, aise hi poochh liya.”
Agle din Pranab Mukerji sahib se bal Kaat-ke waqt poojha – “Saab ye kala dhan kya
hota hai ?”
Pranab da shouted – “Tum humse ye sawaal kyoon poochha ?”
Nai – “Sorry saab, bas aise hi poochha liya.”
Next day CBI interrogated the Nai – “Are u an agent of Baba Ramdev ?
Nai – “Nahi saab ji.”
CBI – “Kya tum Anna ke agent ho ?”
Nai – “Nahi saab ji.”
CBI – “To tum baal kat-te waqt Congressi netaon se faltu ke sawaal qyon karte
ho?”
Naayi – “Saab, na jane qyun Swiss Bank aur kale dhan ke naam par in Congress walon
ke baal khade ho jate hain aur mujhko baal kaatne me aasani ho jati hai,
isliye poochhta rehta hoon !!!”